wafa se aashna koi nahin hai

By laiq-siddiqiJanuary 18, 2022
wafa se aashna koi nahin hai
agarche bewafa koi nahin hai
khuda hai aur tufan mein safina
hamara nakhuda koi nahin hai


fasanon ki taraf mail hai duniya
haqiqat-ashna koi nahin hai
wahan tak is bashar ki hai rasai
jahan tere siwa koi nahin hai


badhi jati hai apni dhun mein duniya
palat kar dekhta koi nahin hai
abhi gulshan ka hai mahaul achchha
abhi patta hara koi nahin hai


mohabbat khud dawa hai zindagi ki
mohabbat ki dawa koi nahin hai
junun ki ibtida hai hosh-mandi
junun ki intiha koi nahin hai


nigahon ki hadon mein sirf tu hai
nazar mein dusra koi nahin hai
wo kuchh bhi ho 'laiq' insan na hoga
agar us se khafa koi nahin hai


13492 viewsghazalEnglish