wafadariyan saKHt nadaniyan hain

By hafeez-jalandhariOctober 31, 2020
wafadariyan sakht nadaniyan hain
ki in ke natije pashemaniyan hain
pashemaniyan hain gunahon pe lekin
bade hi maze ki pashemaniyan hain


meri zindagi par tajjub nahin tha
meri maut par un ko hairaniyan hain
mohabbat karo aur nibaho to puchhun
ye dushwariyan hain ki aasaniyan hain


nadamat hui hashr mein jin ke badle
jawani ki do chaar nadaniyan hain
mera tajraba hai ki is zindagi mein
pareshaniyan hi pareshaniyan hain


12964 viewsghazalEnglish