wafur-e-rahmat-e-parwardigar hota tha

By hina-ambareenFebruary 6, 2024
wafur-e-rahmat-e-parwardigar hota tha
ki sab ka pahla aqida hi pyar hota tha
darakht jhumte rahte du'a ke dhagon se
gali gali koi mannat-guzar hota tha


matab hakim dawai na kargar hoti
kisi ki yaad mein aisa bukhar hota tha
bas ek wa'de pe ‘umren guzar di jatin
bichhadne walon pe yun e'tibar hota tha


na jhute khwab dikhate the ek duje ko
na hath chhod ke koi farar hota tha
jo man hai pahle saheli thi apni beti ki
to bap bete ka tab pahre-dar hota tha


21623 viewsghazalEnglish