wah kya daur hai kya log hain kya hota hai ye bhi mat kah ki jo kahiye to gila hota hai kya bataen tumhein ab kya nahin hota hai yahan bas ye jaano ki jo hota hai bura hota hai de ke dukh auron ko wo kaun sa sukh paega aisi baaton se bhala kis ka bhala hota hai ab wo din dur nahin dekhna tum bhi yaro amn ke nam pe kya fitna bapa hota hai phir saf-ara huin faujen lab-e-dariya-e-furaat hum ko malum hai is jang mein kya hota hai aaj phir dil mein utha hai wahi derina sawal aise mazlumon ka kya koi khuda hota hai ek zara haal to dekho mera ai dost mere tum hi socho koi aise mein khafa hota hai yun to har raat hi rahti hai ajab bechaini aaj kuchh dard mere dil mein siwa hota hai