wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai meri yaadon mein ek bhula hua chehra bhi rahta hai jab us ki sard-mehri dekhta hun bujhne lagta hun mujhe apni adakari ka andaza bhi rahta hai main un se bhi mila karta hun jin se dil nahin milta magar khud se bichhad jaane ka andesha bhi rahta hai jo mumkin ho to pur-asrar duniyaon mein dakhil ho ki har diwar mein ek chor darwaza bhi rahta hai bas apni bebasi ki satwin manzil mein zinda hun yahan par aag bhi rahti hai aur nauha bhi rahta hai