wahi ab ho gaya dushman hamara

By ankit-mauryaFebruary 5, 2024
wahi ab ho gaya dushman hamara
kabhi hota tha jo darpan hamara
tumhein to sath duniya dikh rahi hai
na samjhoge akela-pan hamara


ghazal ki rah pe hum nikle jis din
usi din kho gaya bachpan hamara
uthi diwar dil mein bhaiyon ke
bilak kar ro pada aangan hamara


azanon mein bhajan mein aap uljhen
hamein pyara hai jan gan man hamara
49516 viewsghazalEnglish