wahi hon pyar ki raaten wahi hon pyar ke din

By ishrat-jahangirpuriJanuary 3, 2024
wahi hon pyar ki raaten wahi hon pyar ke din
mere nasib se palten jo phir bahaar ke din
ye hum se puchho ki kaise guzarte hain gharib
firaq-e-yar ki raaten talash-e-yar ke din


ghurur-o-naz ki raaten unhen mubarak hon
phirenge kya na kabhi mere inkisar ke din
tasawwur-e-shab-e-wa'da 'ajab qayamat hai
ye mana sakht guzarte hain intizar ke din


khizan-nasibon pe yun hans rahe hain ahl-e-tarab
chaman mein jaise na aaenge phir bahaar ke din
tabahiyon pe meri muskura na ai zalim
na rah sakenge hamesha tere waqar ke din


ye mana aaj jafa-ju ko naz hai 'ishrat'
kabhi to aaenge mere bhi ikhtiyar ke din
19188 viewsghazalEnglish