wahi mohtasib ki malamaten wahi ek wazeh hasin meri

By noor-bijnauriNovember 11, 2020
wahi mohtasib ki malamaten wahi ek wazeh hasin meri
wahi rang rang subu mera wahi dagh dagh jabin meri
tera shahr shahr-e-ajib hai yahan kaun hai jo gharib hai
koi kah raha hai falak mera koi kah raha hai zamin meri


meri hasraton ke dayar mein teri justuju se bahaar hai
tera naqsh-e-pa hai jahan kahin hai jabin-e-shauq wahin meri
isi aaine mein kiran kiran kisi hur-wash ki tajalliyan
yahi dil hai jam-e-jahan-numa yahi dil hai khuld-e-barin meri


kai aaftab kai qamar mere soz-e-dil se hain nur-gar
ki misal-e-shama sulag rahi hai azal se jaan-e-hazin meri
mere aansuon ne kaha na tha ki bichhad ke phir na milenge hum
tujhe yaad ho ki na yaad ho wo nigah-e-baz-pasin meri


95716 viewsghazalEnglish