wahi saghar wahi sahba wahi mai-khwar hain saqi nizam-e-nau ke kya sach-much yahi aasar hain saqi khulus-e-dil hai ya kuchh be-asar ashaar hain saqi karen kya nazr teri muflis-o-nadar hain saqi nigah-e-naz ki masti se jo sarshaar hain saqi wo diwane haqiqat mein bahut hushiyar hain saqi pila wo jam jis se mushkilen aasan ho jaen marahil rah-e-ulfat ke bahut dushwar hain saqi likha diwar ka padh le khamoshi ki sada sun le badalte daur ke mubham se ye aasar hain saqi jo kahti thin ki ek din did se sarshaar kar dengi wahi aankhen bil-akhir mane-e-didar hain saqi bahut karte hain karne ko to dawe jaan-nisari ka jo tujh par jaan dete hain faqat do-chaar hain saqi ajab mahfil hai ye mahfil ajab aalam hai ye aalam na hum majbur hain saqi na hum mukhtar hain saqi teri bakhshish ka ye andaz kya hai kuchh nahin khulta jo hain ahl-e-hunar wo log hi nadar hain saqi lagi dil ki bujhane ko lipat jate hain shaalon se ye parwane kahan ke paikar-e-isar hain saqi jo hote hain asir-e-jam wo mai-kash nahin hote rahen jo be-piye sarshaar wo mai-khwar hain saqi