wahi sahra sa bahut aur zara sa dariya mujh ko lagta hai tera nam suna sa dariya sab pahunchte hain faqat pyas bujhane apni koi dekhe bhi to kaise ki hai pyasa dariya teri aankhen hain samundar ye bataya jab se tab se aata hai nazar mujh se khafa sa dariya tishna-kaamon ki badi bhid lagi hai dekho jo bhi aae use deta hai dilasa dariya khushk lab apne bhala us ko dikhata kaise nazar aaya tha liye hath mein kasa dariya tairte tairte main aaj bhi taza-dam hun bahte bahte nazar aata hai thaka sa dariya mere lab par hai wahi pyas purani ab tak mere aage hai rawan ek naya sa dariya bolo kya loge idhar chhota samundar hai 'kamal' hai udhar rakkha hua ek bada sa dariya