wahin par mera sim-tan bhi to hai usi raste mein watan bhi to hai bujhi ruh ki pyas lekin sakhi mere sath mera badan bhi to hai nahin sham-e-tira se mayus main bayaban ke pichhe chaman bhi to hai mashaqqat bhare din ke aakhir par sitaron bhari anjuman bhi to hai mahakti dahakti lahakti hui ye tanhai bagh-e-adan bhi to hai