wahshat mein koi kar-e-numayan na kar sake daman ko jeb jeb ko daman na kar sake dard-e-darun ka wo bhi to darman na kar sake dushwari-e-hayat ko aasan na kar sake tar khun-e-dil se nawak-e-jaanan na kar sake hum itni bhi to khatir-e-mehman na kar sake kuchh aise jald khatm hue zindagi ke din hum eatibar-e-umr-e-gurezan na kar sake dariya mein gharq dekhne wale bhi ho gae mujh ko magar hawala-e-tufan na kar sake jalwon ko dekhti rahi meri nigah-e-shauq kuchh bhi harim-e-naz ke darban na kar sake rahte hue qafas mein zamana guzar gae tark-e-khayal-e-sair-e-gulistan na kar sake sau hashr intizar mein hum par guzar gae aur aai ek hashr ka saman na kar sake wo sakht-jaan the ki zamane ke hadsat shiraaza-e-hayat pareshan na kar sake hum aise ja ke be-khud-e-ehsas ho gae andaza-e-kashakash-e-zindan na kar sake badnam kar diya mujhe 'afqar' zamane mein ikhfa-e-raaz dida-e-giryan na kar sake