wahshat mein kya shak hai ji
By hina-ambareenFebruary 6, 2024
wahshat mein kya shak hai ji
hum son ki lekhak hai ji
nichon se rishte jode
naslan hi murakh hai ji
is dil ke aaine mein
wo surat ab tak hai ji
us ke yaad aane ka waqt
subh se shab nau tak hai ji
aansu ke moti niklen
yaadon ki gullak hai ji
chehron ka ujla-pan kya
man mein to kalak hai ji
raj kar dil zakhmati hai
wo surat ghatak hai ji
hum ko pyar ka gham sab kuchh
tum ko to natak hai ji
aankhen hain mudra us ki
gham un ka gahak hai ji
kanon mein aawaz us ki
dil hai ya dhak-dhak hai ji
phal dekhen kya aata hai
mehnat to anthak hai ji
hum son ki lekhak hai ji
nichon se rishte jode
naslan hi murakh hai ji
is dil ke aaine mein
wo surat ab tak hai ji
us ke yaad aane ka waqt
subh se shab nau tak hai ji
aansu ke moti niklen
yaadon ki gullak hai ji
chehron ka ujla-pan kya
man mein to kalak hai ji
raj kar dil zakhmati hai
wo surat ghatak hai ji
hum ko pyar ka gham sab kuchh
tum ko to natak hai ji
aankhen hain mudra us ki
gham un ka gahak hai ji
kanon mein aawaz us ki
dil hai ya dhak-dhak hai ji
phal dekhen kya aata hai
mehnat to anthak hai ji
64123 viewsghazal • English