wahshat thi hum the saya-e-diwar-e-yar tha

wahshat thi hum the saya-e-diwar-e-yar tha
ya ye kaho ki sar pe koi jin sawar tha

bigda chaman mein kal tere wahshi ka jab mizaj
jhonka nasim ka bhi use nagawar tha

lale ka dagh dekh ke chitwan badal gai
tewar se saf raaz-e-junun aashkar tha

pahle to aankhen phad ke dekha idhar-udhar
daman phir ek ishaare mein bas tar-tar tha

allah re tod nichi nigahon ke tir ka
uf bhi na karne pae the aur dil ke par tha

nairang-e-husn o ishq ki wo aakhiri bahaar
turbat thi meri aur koi ashk-bar tha

jhuk-jhuk ke dekhta hai falak aaj tak use
jis sarzamin pe mera nishan-e-mazar tha

sahil ke pas 'yas' ne himmat bhi haar di
kuchh hath panw marta zalim to par tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close