waise to bahut dhoya gaya ghar ka andhera nikla nahin diwar ke andar ka andhera kuchh ruashni-e-taba zaruri hai wagarna hathon mein utar aata hai ye sar ka andhera wo hukm ki hai aql-o-aqide pe muqaddam chhutne hi nahin deta muqaddar ka andhera kya kya na abul-haul tarashe gae us se jaise ye andhera bhi ho patthar ka andhera deti hai yahi waqt ki tauret gawahi zar ka jo ujala hai wo hai zar ka andhera har aankh lagi hai ufuq-e-dar ki jaanib suraj se kiran mangta hai dar ka andhera