waiz-e-tund-khu ko de baada-o-jam saqiya taki wo hosh mein kare tujh se kalam saqiya sare khatib shahar ke tere khilaf ho gae tera nasib ho gai shohrat-e-am saqiya hum ko bhi kuchh pata chale bazm mein kaun kaun hai aaj ata-e-jam ho nam-ba-nam saqiya tu ne kaha to ro diye tu ne kaha to hans diye shahar ke sare baada-kash tere ghulam saqiya dasht tujhe dikhaenge khak teri udaenge ahl-e-junun ne likh liya tera bhi nam saqiya hum ne suna hai tera bhi chaaragaron mein nam hai tujh se padega ek din hum ko bhi kaam saqiya daftar-e-kotwal mein likkha hua hai aaj-kal tera bhi nam saqiya mera bhi nam saqiya