waiz tu agar un ke kuche se guzar jae firdaus ka manzar bhi nazron se utar jae rudad-e-shab-e-gham yun darta hun sunane se mahfil mein kahin un ki surat na utar jae ek wada-e-farda ki ummid pe zinda hun ai kash kisi surat ye raat guzar jae kabe hi ke raste mein mai-khana bhi padta hai uljhan mein ye rah-rau hai jae to kidhar jae tum un se milo 'danish' ye dhyan rahe lekin khuddari-e-fitrat ka ehsas na mar jae