wajh-e-qadr-o-qimat-e-dil husn ki tanwir hai warna ek tute hue shishe ki kya tauqir hai kuchh tabassum zer-e-lab par sharm daman-gir hai uf ye kis aalam mein khinchwai hui taswir hai ek nazar dekha jise madhosh-o-be-khud kar diya teri kaif-agin nigahon mein ajab tasir hai kitni dil-kash hain teri taswir ki ranaiyan lekin ai parda-nashin taswir phir taswir hai phunk de barq-e-tapan mera qafas bhi phunk de aashiyan ki bhi to ek bigdi hui taswir hai lan-tarani kah diya tha tur par jis ne 'shakil' zarre zarre mein usi ke husn ki taswir hai