wajh jine ki tumhaara sath hai zindagi goya tumhaare hath hai meri badnami meri taqdir thi log kahte hain tumhaara hath hai jaante hain hum ki tum aise nahin tod na dena bharam jo sath hai moh lene ka ye fan jo tujh mein hai meri ulfat ka bhi is mein hath hai kya karen hum bas mein apne kuchh nahin phir bhi jine ki tamanna sath hai hasraten lakhon simat kar aa gain ek mutthi dil jo apne sath hai shakhsiyat apni bikhar sakti nahin dosti ka aur wafa ka sath hai surat-e-‘uzma’ jo badli si lagi gardish-e-daur-e-zaman ka hath hai