wan irada aaj us qatil ke dil mein aur hai aur yahan kuchh aarzu bismil ke dil mein aur hai wasl ki thahrawe zalim to kisi surat se aaj warna thahri kuchh tere mail ke dil mein aur hai hai hilal o badr mein ek nur par jo raushni dil mein naqis ke hai wo kaamil ke dil mein aur hai pahle to milta hai dildari se kya kya dilruba bandhta mansube phir wo mil ke dil mein aur hai hai mujhe baad-az-sawal-e-bosa khwahish wasl ki ye tamanna ek is sail ke dil mein aur hai go wo mahfil mein na bola pa gae chitwan se hum aaj kuchh us raunaq-e-mahfil ke dil mein aur hai yun to hai wo hi dil-e-alam ke dil mein ai 'zafar' us ka aalam mard-e-sahab dil ke dil mein aur hai