wan naqab uTThi ki subh-e-hashr ka manzar khula

wan naqab utthi ki subh-e-hashr ka manzar khula
ya kisi ke husn-e-alam-tab ka daftar khula

ghaib se pichhle pahar aati hai kanon mein sada
uttho uttho rahmat-e-rabb-e-ula ka dar khula

aankh jhapki thi tasawwur bandh chuka tha yar ka
chaunkte hi hasrat-e-didar ka daftar khula

ku-e-jaanan ka saman aankhon ke aage phir gaya
subh-e-jannat ka jo apne samne manzar khula

rang badla phir hawa ka mai-kashon ke din phire
phir chali baad-e-saba phir mai-kade ka dar khula

aa rahi hai saf bu-e-sumbul-e-bagh-e-jinan
gesu-e-mahbub shayad meri mayyat par khula

chaar-diwar-e-anasir phand kar pahunche kahan
aaj apna zor-e-wahshat arsh-e-azam par khula

chup lagi mujh ko gunah-e-ishq sabit ho gaya
rang chehre ka uda raaz-e-dil-e-muztar khula

ashk-e-khun se zard chehre par hai kya turfa bahaar
dekhiye rang-e-junun kaisa mere munh par khula

khanjar-e-qatil se jannat ki hawa aane lagi
aur bahaar-e-zakhm se firdaus ka manzar khula

nim-jaan chhoda teri talwar ne achchha kiya
ediyan bismil ne ragdin sabr ka jauhar khula

sohbat-e-waiz mein bhi angdaiyan aane lagin
raaz apni mai-kashi ka kya kahen kyunkar khula

hath uljha hai gareban mein to ghabrao na 'yas'
bediyan kyunkar katin zindan ka dar kyunkar khula


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close