waqt aaya hai ghazab tundi-e-raftar ke sath

By hamza-hashmi-sozOctober 31, 2020
waqt aaya hai ghazab tundi-e-raftar ke sath
ki sambhal pai na poshak bhi dastar ke sath
aane dete nahin ranjish mein bhi diwaron ko
dekh hum nafraten bhi karte hain kuchh pyar ke sath


ek tabassum se chaman khilta gaya phul samet
phul kya ghunche chatakhte gae gulzar ke sath
hath jis par wo rakhega wahi yusuf us ka
jins-e-wafar hai bahut garmi-e-bazar ke sath


'soz' mauquf nahin shairi tak nam mera
main sarapa hi ghazab-soz hun kirdar ke sath
44801 viewsghazalEnglish