waqt-e-rukhsat chalte chalte kah gae ab jo arman rah gae so rah gae jald-baz arman tere didar ke khun ho kar aansuon mein bah gae umr bhar socha kiye samjhe na hum aankhon aankhon mein wo kya kya kah gae kya chhupata hai mera haal ai tabib kahne wale mere munh par kah gae us ki manzil tak na pahuncha ek bhi sab musafir raste mein rah gae pahle 'natiq' dil jigar mein dard tha ab sarapa dard ban kar rah gae