waqt-e-safar qarib hai bistar samet lun bikhra hua hayat ka daftar samet lun phir jaane hum milen na milen ek zara ruko main dil ke aaine mein ye manzar samet lun yaron ne jo suluk kiya us ka kya gila phenke hain doston ne jo patthar samet lun kal jaane kaise hon ge kahan honge ghar ke log aankhon mein ek bar bhara ghar samet lun tar-e-nazar bhi gham ki tamazat se khushk hai wo pyas hai mile to samundar samet lun 'ajmal' bhadak rahi hai zamane mein jitni aag ji chahta hai sine ke andar samet lun