waqt-e-tazin jo dikhae wo safa sine ko munh dikhane ki na phir ja rahe aaine ko gham nahin mahfil-e-jaanan mein nahin sadr-nashin us ne sine mein to jawe hai mere kine ko ai sanam tujh ko jo pahuncha wo khuda ko pahuncha zina-e-arsh samajhta hun tere zine ko shaal-e-shahi se ziyaada hai mujhe kamli-e-faqr jaanta pashm barabar hun main pashmine ko hum wo hatim hain ki jo surat-e-qarun ai 'shad' sath le jaenge zar bant ke ganjine ko