waqt khud-sar hai sada apni hi man-mani kare bahta dariya aag kar de aag ko pani kare tut hi jae ilahi ye jumud-e-be-aman aag barsae falak dariya hi tughyani kare bachchon ki si khwahishon mein umr sari kat gai tir se chaha tha zakhmon ki nigahbani kare jis mein baqi rah gai hai teri thodi si mahak zindagi us ek lamhe mein hi zindani kare dasht-e-be-payan mein ek tanha musafir hun 'saba' jaane mera hashr kya ghaull-e-bayabani kare