waqt ki bazgasht se kab ye hua ki dar gae dard ki dhup dhal gai hijr ke din guzar gae tez qadam nikal gae dhup ki sarhadon se dur rah ki chhanw dekh kar sust qadam thahar gae log bhi hain nae nae shahr bhi hain nae nae baaten wo kho gain kahan raste wo sab kidhar gae barish-e-rang-o-nur se jaan chaman mein pad gai phul tamam khil uthe ped sabhi nikhar gae le ke chale the narmiyan ghar se gulon ki subh ko barg-e-khizan the sham jab laut ke apne ghar gae hum ko hawa-e-waqt ne di hai shikast barha sip ki tarah band the gul ki tarah bikhar gae sher likhun to kis tarah nazm kahun to kyun bhala meri zaban chhin gai hath mere katar gae todna thin riwayaten modna thin hikayaten log wo khud-pasand the hanste hue jo mar gae