warna kya aab-o-hawa chiz hai kaisa mausam
By idris-babarJuly 31, 2020
warna kya aab-o-hawa chiz hai kaisa mausam
tere aane se hua shahr mein achchha mausam
ye mah-o-mehr izafi hain tere sar ki qasam
waqt batlati hain aankhen teri chehra mausam
dhup mein chhanw kahin mauj mein tufan kahin
jaisa ai dost tera mud hai waisa mausam
rang-o-bu rakhte hain sab phul phal apni apni
chashm-o-abru se alag aariz-o-lab ka mausam
is qadar husn achanak mera dil tod na de
ek to pyara hai tu is pe ye pyara mausam
na waba ke koi din raat na tanhai ke sal
tere aate hi badal jata hai sara mausam

67676 viewsghazal • English