wasl ka aish kahan par gham-e-hijran to hai lab-e-khandan to nahin dida-e-giryan to hai aarzu aur to kuchh hum ko nahin duniya mein han magar ek tere milne ka arman to hai haal kya puchhe hai hairat-kada-e-dahr ka dekh aaina yan ka har ek dida-e-hairan to hai dam se khat ke chhuta dil to nahin khatir jama qaid karne ko abhi zulf-e-pareshan to hai le chala dil ko jo wo shokh tu hamdam na bula aaphi aawega wo hum pas abhi jaan to hai go na ho aish ka asbab mayassar to na ho waste dil ke gham-o-dard ka saman to hai ek hi dam mein kiya sar ko juda khub kiya tegh ka teri ye sar par mere ehsan to hai go hue jaib ke tukde to nahin gham hum ko chaak karne ko hamara abhi daman to hai jo pade ishq ki aafat mein wahi jaane 'hasan' khalq ke kahne mein yun aashiqi aasan to hai