wasl ki to kabhi furqat ki ghazal likhte hain

wasl ki to kabhi furqat ki ghazal likhte hain
hum to shair hain mohabbat ki ghazal likhte hain

padhiye un ko kisi kaghaz pe nahin sarhad par
apne khun se jo shahadat ki ghazal likhte hain

rahnuma apne watan ke bhi hain kitne shatir
wo shahadat pe siyasat ki ghazal likhte hain

tum ne mazdur ke chhaale nahin dekhe shayad
apne hathon pe wo mehnat ki ghazal likhte hain

mulk aise bhi hain kuchh khas padosi apne
sarhadon pe jo adawat ki ghazal likhte hain

hum sabhi chain se sote hain magar raaton mein
fauj wale to hifazat ki ghazal likhte hain

shauq likhne ka bahut hum ko bhi hai lekin hum
sone ke pen se ghurbat ki ghazal likhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close