wasta har pal nai uljhan se hai phir bhi hum ko pyar is jiwan se hai kis ghalat-fahmi mein ho tum radhike mel manmohan ka har gwalan se hai dil diya mano ki sab kuchh de diya aur kya ummid is nirdhan se hai yar us ko bhulna mumkin nahin us ka rishta dil ki har dhadkan se hai muaf karna aap hain jis par fida sari raunaq us pe rang roghan se hai jo sahi us ne dikhaya bas wahi kyon shikayat aap ko darpan se hai ye kahan mumkin ki likhna chhod dun shaeri ka shauq to bachpan se hai