waziron ki adakari jo pahle thi sab ab bhi hai wahi nas nas mein makkari jo pahle thi so ab bhi hai wahi masjid wahi mandir wahi nafrat bhare bhashan wahi talwar do-dhaari jo pahle thi so ab bhi hai commission par commission kha rahe hain desh ke leader wo bandar-bant sarkari jo pahle thi so ab bhi hai gharibi ka wo infection wo antibiotic nare wo d d t ki pichkari jo pahle thi so ab bhi hai shifa-khane badal dale badal dala tabibon ko magar sukhe ki bimari jo pahle thi so ab bhi hai the pahle karwan khatre mein ab hain rail mein dake safar karne mein dushwari jo pahle thi so ab bhi hai hazaron neamaten hain apne dastarkhwan par be-shak magar aalu ki tarkari jo pahle thi so ab bhi hai khuda rakkhe wo sadhe sat bachchon ki hain man lekin adaon mein wo bambari jo pahle thi so ab bhi hai meri masjid mein iftari pe ab tak roza-daron ki wahi yalghaar-e-tatari jo pahle thi so ab bhi hai zamana lakh barte be-rukhi 'masrur' ko dekho tabiat mein milan-sari jo pahle thi so ab bhi hai