wigha mein koi bhi aisa adu nahin aaya

By azwar-shiraziFebruary 26, 2024
wigha mein koi bhi aisa 'adu nahin aaya
hamari tegh pe jis ka lahu nahin aaya
ye mat samajh ki mujhe jaan 'aziz hai apni
agar kabhi tah-e-khanjar gulu nahin aaya


hamari pursish-e-ahwal ke liye aksar
tera khayal to aaya hai tu nahin aaya
wo na-tawan tha ki tegh-e-'adu ke chalne par
mere wujud se bahar lahu nahin aaya


main aisa ped hun jis par bahaar ho ki khizan
kisi bhi daur mein bar-e-numu nahin aaya
wo na-umid hua hun khuda ke hote hue
meri zaban pe la-taqnatu nahin aaya


mahaz-e-‘ishq se nakaam aa gaya lekin
khuda ka shukr ki be-abru nahin aaya
kahin na phir se amawas ne gher rakkha ho
jo chand aaj sar-e-ab-ju nahin aaya


han wo tabib to aaya tha neshtar ke liye
barae zahmat-e-kar-e-rafu nahin aaya
mujhe pata hai mohabbat hai kya hawas hai kya
so us ko dekh to aaya hun chhu nahin aaya


wo 'aks mujh ko mukammal dikhai de kaise
jo aaine mein kabhi hu-bahu nahin aaya
18202 viewsghazalEnglish