wo aae unki rah magar dekhte rahe

wo aae un ki rah magar dekhte rahe
mahw-e-khayal jaanib-e-dar dekhte rahe

gulshan mein yun to aam rihai ka hukm tha
tere asir tujh ko magar dekhte rahe

ab tak ye raaz-e-husn na malum ho saka
kya dekhte rahe wo jidhar dekhte rahe

bakhsha kisi ne aankh ko wo kaif-e-sarmadi
aaine mein khud apni nazar dekhte rahe

apni nazar ke samne jalta raha chaman
jalte hue hum aankhon se ghar dekhte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close