wo aaenge to khilenge nashat-e-wasl ke phul shab-e-firaq mein un ki sakhawaton ko na bhul yahi hai kya teri taqsim-e-gulsitan ka usul kisi ko phul milen aur kisi ko khar babul zamin ka rang to ham-rang-e-dam hota hai bhatak na jaen kahin meri chahaton ke rasul tumhaare pas to sim-sim ka ism-e-azam hai ye kya ki band hai apne liye hi bab-e-qubul kisi ka dida-e-khunin bhi rang la na saka kisi ke shola-e-tan se pighal gae hain usul bujhaen pyar mohabbat ke shabnamistan se na baith jae gul-e-jaan pe nafraton ki ye dhul bhari bahaar mein jaise phuwar padti hai kuchh is tarah mere dil par hai shairi ka nuzul ulajh gae kabhi sangin haqiqaton se 'jamil' kabhi kisi ke tasawwur se ho gae hain malul