wo aaj bhi qarib se kuchh kah ke hat gae duniya samajh rahi thi mere din palat gae jo tishna-lab na the wo the mahfil mein gharq-e-jam khali the jitne jam wo pyason mein bat gae sandal ka main darakht nahin tha to kis liye jitne the gham ke nag mujhi se lipat gae jab hath mein qalam tha to alfaz hi na the jab lafz mil gae to mere hath kat gae jine ka hausla kabhi marne ki aarzu din yun hi dhup chhanw mein apne bhi kat gae