wo aalam bhi ajab ek aalam-e-majbur hota hai
By ustad-azmat-hussain-khanJanuary 5, 2024
wo 'alam bhi 'ajab ek 'alam-e-majbur hota hai
safina gharq-e-dariya aur sahil dur hota hai
wahi to jalwa-e-be-tab barq-e-tur hota hai
jo dil mein jaguzin ho kar nazar se dur hota hai
kiya karta hai da'wa aadmi mukhtar hone ka
magar ye be-khabar to mutlaqan majbur hota hai
anal-haq aur zaban ek aadmi ki ai ma'az-allah
kahin sab ko mayassar mashrab-e-mansur hota hai
mohabbat mein koi us shakhs ki bechaargi dekhe
jo gham mein muskurane ke liye majbur hota hai
zara 'maikash' ko maikhane mein koi chhed kar dekhe
magar us waqt jab wo be-khud-o-makhmur hota hai

17785 viewsghazal • English