wo abr jo mai-khwar ki turbat pe na barse kah do ki khudara kabhi guzre na idhar se itna to hua aah shab-e-gham ke asar se fitrat ka jigar phut baha chashm-e-sahar se ummid ne bhi yas ke murdon ko pukara aai koi aawaz na dil se na jigar se naseh ko bulao mera iman sambhaale phir dekh liya us ne usi ek nazar se khurshid-e-qayamat ki ada dekh raha hun milti hui surat hai mere dagh-e-jigar se ek ek qadam par hai jahan khanda-e-taqdir tadbir guzarti hai usi rahguzar se ai khanda-e-gulshan ye hai anjam-e-shab-e-aish gul rote hain na munh dhanp ke daman-e-sahar se kuchh shan-e-karimi ne is andaz se taula bhaari hi raha dida-e-tar daman-e-tar se khatre mein hain kuchh din se 'hafiz' ahl-e-do-alam har shab mere nalon ki ladai hai asar se