wo abru yaad aate hain wo mizhgan yaad aate hain na puchho kaise kaise tir-o-paikan yaad aate hain wo jin ke tahat jhuk jata tha sar asnam ke aage wahi bhule hue ahkaam-e-yazdan yaad aate hain jo akasr bar-war hone se pahle tut jate the wahi khasta shikasta ahd-o-paiman yaad aate hain wo marmar ki tarah shaffaf aur hanste hue aaza hayat-e-jawidan ke saz-o-saman yaad aate hain guman hota hai wahshi nikhaton ne bhench dala hai kuchh itne be-mahaba sumbulistan yaad aate hain wo gul-andaz jin ka khalq sarmaya tha jine ka wo ban ban kar charagh-e-mahfil jaan yaad aate hain khayal aata hai jab bhi dilbaron ki ham-nashini ka talatum rang ke khushbu ke tufan yaad aate hain udi phirti thi boson ki chatak jin ki fazaon mein wo ehsasat mein dube shabistan yaad aate hain faqih-o-shaikh ke zehnon mein but honge khudaon ke main insan hun mujhe to sirf insan yaad aate hain piyala sham ko rakhta hun jab bhi main 'adam' aage jawan ham-joliyon ke ru-e-khandan yaad aate hain