wo ahd-e-gham ki kahish-ha-e-be-hasil ko kya samjhe jo un ki mukhtasar rudad bhi sabr-azma samjhe yahan wabastagi wan barhami kya jaaniye kyun hai na hum apni nazar samjhe na hum un ki ada samjhe fareb-e-arzu ki sahl-angari nahin jati hum apne dil ki dhadkan ko teri aawaz-e-pa samjhe tumhaari har nazar se munsalik hai rishta-e-hasti magar ye dur ki baaten koi nadan kya samjhe na puchho ahd-e-ulfat ki bas ek khwab-e-pareshan tha na dil ko rah par lae na dil ka muddaa samjhe