wo apne band-e-qaba kholti to kya lagti khuda ke waste koi kahe khuda-lagti yaqin thi to yaqin mein sama gai kaise guman thi to guman se bhi mawara lagti agar bikharti to suraj kabhi nahin ugta tera khayal ki wo zulf bas ghata lagti tere mariz ko duniya mein kuchh nahin lagta dawa lage na raqibon ki bad-dua lagti hui hai qaid zamane mein raushni kis se bhala wo jism aur us ko koi qaba lagti lagi wo tujh si to aalam mein munfarid thahri wagarna aam si lagti agar juda lagti