wo apne ghar chala gaya afsos mat karo

wo apne ghar chala gaya afsos mat karo
itna hi us ka sath tha afsos mat karo

insan apne aap mein majbur hai bahut
koi nahin hai bewafa afsos mat karo

is bar tum ko aane mein kuchh der ho gai
thak-haar ke wo so gaya afsos mat karo

duniya mein aur chahne wale bhi hain bahut
jo hona tha wo ho gaya afsos mat karo

is zindagi ke mujh pe kai qarz hain magar
main jald laut aaunga afsos mat karo

ye dekho phir se aa gain phulon pe titliyan
ek roz wo bhi aaega afsos mat karo

wo tum se aaj dur hai kal pas aaega
phir se khuda milaega afsos mat karo

be-kar ji pe bojh liye phir rahe ho tum
dil hai tumhaara phul sa afsos mat karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close