wo apne matlab ki kah rahe hain zaban par go hai baat meri hai chit bhi un ki hai pat bhi un ki hai jit un ki hai mat meri kabhi wo milta hai dushmanon se kabhi wo milta hai mujh se aa kar jo din hai mera to raat un ki jo din hai un ka to raat meri kabhi hai tola kabhi hai masha kabhi hain na-khush kabhi hain wo khush qarar un ko nahin hai dam-bhar hai tak un ki to ghat meri ye baat kya hai ye majra kya ye raaz kya hai ye waqia kya ki han mein han sab mila rahe hain wo kar rahe hain sifat meri irada hai main likhun fasana kisi ki kuchh dil-shikastagi ka qalam shikasta pada kidhar hai kahan hai koi dawat meri idhar bani hai dil-e-hazin par udhar to sargarm-e-naz hain wo koi ye aa kar tamasha dekhe ada hai un ki mamat meri ye ho raha hai tamasha kaisa idhar to gham hai udhar hai shadi kabhi uthega janaza mera kabhi saji thi baraat meri