wo apni jaan par aisa ghazab karega kyon

By wasim-nadirJanuary 5, 2024
wo apni jaan par aisa ghazab karega kyon
mere liye bhala tark-e-nasab karega kyon
main mutmain hun nahin kuchh bhi ab ganwane ko
so mera qatl koi be-sabab karega kyon


utar aaya hun main jhut ke libaade sab
meri talash tera shahr ab karega kyon
jise charagh mile hon jale-jalae hue
wo raushni ka zara bhi adab karega kyon


jo mere sath kabhi jag bhi nahin paya
wo mujh se khwabon ki daulat talab karega kyon
76565 viewsghazalEnglish