wo aur honge jin ko haram ki talash hai mujh ko to tere naqsh-e-qadam ki talash hai main to gunahgar-e-mohabbat hun ai sanam mujh ko teri nigah-e-karam ki talash hai zahid sanam-kada meri manzil nahin magar aashiq hun mujh ko apne sanam ki talash hai main tera ho chuka hun zamane se kya gharaz ai jaan-e-jaan mujhe tere gham ki talash hai zahid talash karta hun apne sanam ko main tujh ko sanam ke badle iram ki talash hai le kar haram mein shaikh gaya din ki talab pandit ko but-kade mein dharam ki talash hai hum aashiqon ka kya hai ye marzi hai yar ki un ka sitam mile to sitam ki talash hai mera dharam yahi hai ki mil jae tu mujhe teri hi justuju mein haram ki talash hai main to 'fana' hun ishq mein ai jaan kya kahen tum jo ata karo usi gham ki talash hai