wo ba-zahir ayan nahin hota phir bhi sab se nihan nahin hota wo agar mehrban nahin hota ye mukammal jahan nahin hota is hunar se wo zakhm dete hain jin ka koi nishan nahin hota khud se karta hun zikr mazi ka jab koi ham-zaban nahin hota phir se dega koi sada mujh ko ab to ye bhi guman nahin hota hai yaqinan koi kami apni warna wo bad-guman nahin hota darmiyan thi koi ana warna main yahan wo wahan nahin hota aazmaish hamari barson se is tarah imtihan nahin hota jin ke zehnon mein be-niyazi ho un ka koi jahan nahin hota