wo badan mahtab jaisa hai raushni ke nisab jaisa hai chand ko dhak raha hai jo baadal tere rukh par naqab jaisa hai mujh ko padhne ki tu ijazat de tera chehra kitab jaisa hai pi liya jam kis ki aankhon se nashsha mujh par sharab jaisa hai main ye kis shahr mein chala aaya lamha lamha 'azab jaisa hai ru-e-jaanan to be-misali hai kaise kah dun gulab jaisa hai zikr-e-mazi ka kya karen 'rizwan' zehn mein ab ye khwab jaisa hai