wo bazm kahan aur ye daryuza-gari

By aadil-aseer-dehlviJanuary 1, 2025
wo bazm kahan aur ye daryuza-gari
le jaegi mujh ko meri aashufta-sari
diwane ne tawil koi pesh na ki
hone ko to ilzam se ho jata bari


ek dew ne qisse mein daraya tha mujhe
phir raat ko sapne mein chali aai pari
patthar ko bhi dekha to chamak phut padi
sikhi hai kahan tu ne ye aaina-gari


ai khalwati-e-husn kabhi parda utha
ai 'ishq-e-junun-khez kabhi parda-dari
be-tab hai duniya mere naghmon ke liye
sunta nahin fariyaad yahan tu hi meri


42869 viewsghazalEnglish