wo be-hunar hun ki hai zindagi wabaal mujhe kamal gar nahin deta to de zawal mujhe wo bad-guman hua hun ki e'tibar utha sadaqaton pe bhi kya kya hain ehtimal mujhe main apne aap ko pahchanne se darta hun tabah kar gai ye gard-e-mah-o-sal mujhe ghazab hua teri yaadon ne sath chhod diya hanuz meri mohabbat hai ek sawal mujhe ye kya hua ki hawas ki giraft tang hui main tujh se hath chhudane ko hun sambhaal mujhe wo fasle hain ki aankhon mein khwab nachte hain mili firaq mein bhi lazzat-e-visal mujhe wo bewafa hai to is ka bhi gham bahut hai magar main ba-wafa hun to is ka bhi hai malal mujhe