wo bewafa bhi ho to kya ye aisi bhi KHata nahin

By swati-sani-reshamFebruary 29, 2024
wo bewafa bhi ho to kya ye aisi bhi khata nahin
ye zindagi bhi chaar din mein degi kya dagha nahin
zaban par sawal the pa lab mere sile rahe
wo muntazir khada raha pa main ne kuchh kaha nahin


wo rah apni chal pada na mud ke dekha us ne phir
main but bani khadi rahi aur wo kabhi ruka nahin
do lafz bhi kahe bina wo uth ke kyon chala gaya
talashti rahi use pa wo kahin mila nahin


be-kar hi main sochti thi dil ka sath hai sada
jo dil kisi pe aa gaya to us ka aasra nahin
hawa bahut chali magar charagh ki bhi zid rahi
jo rakh ko sharar kiya to dil kabhi bujha nahin


main sabr us ka lut lun qarar us ka chhin lun
ye meri sadgi hi hai ki main ne yun kiya nahin
thi dor ek judi hui yun mere us ke darmiyan
ki raste juda the phir bhi pyar kam hua nahin


nigah mein ek aas thi labon pe mere aah thi
ki yaad to kiya use magar kabhi kaha nahin
83486 viewsghazalEnglish